My Hobby Essay In Urdu
Farigh auqat ko kaam mein lanay ke liye insan ko koi na koi mashghala zaroor ikhtyar karna chahiye maslan baghbani, parhna likhna, ticket jama karna. sikay jama karna, tasweer banana, tasweerain jama karna wagera. Mera mashghala ticket jama karna hai. Main tarah tarah ke ticket jama karta raha hon aur free time yani farigh waqt mein mere album mein tarteeb se lagata rehta hon. Is tarah ke lamhat bohat achi tarah guzar jatay hain.
Ticket jama karna yani collecting ticket mera pasandida mashghala hai. Is liye main ne kabhi koshish nahin ki ke jald az jald bohat sare ticket khareed loun aur album bhar loun. Khareed kar aik hi baar bohat se ticket hasil kar laina mashghalay ke adab ke khilaf hai. Is ka taqaza hai ke aik ticket ke husool ke liye mehnat ki jaye. Chunachay mein ticket khaton se utarta hon ya dusron se tickets ka tabadla karta hon. Is se jama karne mein waqt tou lagta hai magar maza bhi ata hai.
Mere pas bari khubsurat album hai. Is par har mulk ke ticket lagane ke liye alag alag safhay hain. Main un safhon par mukhtalif mulkon ke naye naye ticket lagata rehta hon. Ab mere paas itnay zayada ticket ho chukay hain ke mujhe kam az kam 2 album aur khareednay ki zaroorat hai.
Ticket jama karne ka mashghala bohat mufeed bhi hai. Is se sirf farigh auqat hi achay nahin guzartay balkeh is ke khuch amli faide bhi hain. Tickets ke mushahiday se mukhtalif mumalik ki shakhsiyat, muqamat wagera ke bare mein maloomat hasil hoti hain aur wahan ke awam aur hukmaranon ke bare mein bhi bohat khuch maloom hota hai kyoun ke tickets wali tasaweer is silsile mein rehnumai karti hain. Un ke nazdeek mukhtalif mulkon ke qaumi dinon, awami taqreebat aur yadgar ke baray mein maloomat hasil hoti hain. Main tou dusron ko bhi mashwara doun ga ke wo farigh waqt ke liye koi na koi mashghala zaroor ikhtyar karain.